-
agar hamaaray pass aik equation hai 7x
-
isko solve karnay se pehlay
-
mujhe yeh sochna hai keh 7x ka matlab kya hai?
-
agar hamaray pass aik ibaarat hai 7x=14
-
iska matlab hai keh7 zarab x, yaani hum 7 ko aise hindsay se zarab dein keh jawab 14 aaye
-
aap isko zubaani solve kar saktay hain
-
ya aap 7 ka pahaara bhi parh saktay hain
-
agar 7 zarab aik se shuru karein tou 7 zarab aik ki value hai 7
-
7 zarab 2 ki value hai 14. Tou iska matlab hai keh x ki value yaqeenan 2 hogi
-
yeh jawab ya solution tou assni se nikal aaya
-
is qisam ki asaan aur simple equation ka solution tou araam se nikaala ja sakta hai
-
lekin agar equation kuch lambi ya mushkil ho tou zubaani ya simple tareeqay se iska jawab nikaalna mushkil hai
-
iss equation 7x = 14 ka matlab hai keh 7 ko kisi aise number se zarab di jaaye keh iska jawab 14 aaye
-
algebra mein aksar x ka sign istemaal nahin kiya jaata
-
agar kisi do hindsoun ko ya aik hindsay aur aik anjaan hindsay ko zarab deni ho to agar unko aik doosray ke saath likha jaaye
-
to iska bhi yehi matlab hot hai
-
keh inko aapas mein zarab d jaa rahi hai
-
yeh sirf isko likhnay ka aik assan tareeqa hai
-
hum x is liye nahin likhtay keh aksar yeh jaan paana mushkil hai keh
-
asal mein yeh x ya zarab ka nishaan hai ya keh yeh aik variable x hai
-
Aksar logon ki likhaayi bhi aisi hoti hai keh 'x' kuch ajeeb lag sakta hai aur logon ko confuse kar sakta hai
-
keh kisi no do baar tou x nahin likh diya.
-
to aam taur par jab equations par kaam kiya jaata hai,
-
khaas taur par jin mein x aik variable ho
-
tou aisi equations mein zarab ka nishaan istemaal nahin kiya jaata
-
kuch jagah par log sirf . ya dot ka nishaan bhi zarab ki jagah istemaal karte hain
-
jaise 7. x(yaani 7 zarab variable x) = 14
-
magar dot notation itna aam taur par istemaal nahin hota.
-
agar aik variable ya anjaan number ho x aur usko aik aur hindsay se zarab deni ho tou usko
-
7x likha jaa sakta hai
-
iska matlab hai 7 zarab x
-
iss equation ko hal karnay ke liye aap sochein keh 7 zarab x ka asal matlab kya hai
-
isko iss tarah bhi dekha jaa sakta hai keh
-
keh x kay hindsay ko 7 baar khud se jamah kiya jaaye
-
jaise keh pahaaray mein hota hai
-
yaani x jamah x jamah x jamah x jamah x
-
yeh paanch baar x jamah hua, ab iss mein 2 aur x jamah karein
-
yaani qul mila kar 7x (saat x ) ho gaye
-
hamaari equation mein 7 x , 14 ke baraabar hain
-
agar main 14 cheezein banaoon
-
yaani aik(1), do(2), teen, chaar, paanch, cheh, saat, aath,
-
nau, dus, gyaarah, baarah, taira, chauda tak
-
hamaara matlab hai keh ywh 7x in chauda cheezon ke baraabar hai
-
yeh statements bilkul baraabar hain
-
inko iss tarah banaanay se yeh behtar samajh mein aata hai
-
keh hum equation ke dono taraf ko saat(7) hison mein kaise taqseem kar saktay hain
-
aam taur par jab hum aik equation ko asaan tareeqay se likhna chahtay hain
-
tou uskay coefficient, ya variable se zarab honay walay hindsay ko nikaalnay ki koshish kartay hain
-
agar hum equation ke dono jaanib ko 7 se divide ya taqseem karein tou iss equation ko assan tareeqay se likha jaa sakta hai
-
iss see 7 ka hindsa cancel ho jaaye ga
-
dono jaanib ko 7 se divide karein
-
tou 7 ko 7 se hi taqseem karnay se 7 cancel ho jaaye ga
-
aur sirf x reh jaata hai
-
doosri jaanib 14 ko 7 se taqseem karein tou jawaab 2 aayega
-
tou iss tarah x ki value 2 aati hai
-
isko iss tarah se socha ja sakta hai
-
keh agar aik equation ko balance karna ho, tou jo aik side par jamah (+) ya tafreeq (-) ya zarab(x) ya taqseem(/) kiya jaata hai
-
wohi = sign ke doosri jaanib bhi kiya jaata hai, takeh equation balanced rahe.
-
Hum ne aik side ko 7 se taqseem kiya, tou doosri side ko bhi karengay, kyoonkeh yeh aik equation hai
-
iski left side, right side ke baraabar hai
-
jo left side ko kiya jaata hai, wohi doosr side ko bhi
-
balance karnay ke liye karna zaroori hai
-
ab jabkeh left side ko 7 se taqseem kiya gaya hai
-
main right sode ko bhi 7 hison mein baant deta hoon
-
yaani 7 x 's ko, saat hison miein baantoon ga
-
aur right jaanib ko bhi saat groups mein taqseem kar deta hoon
-
aik do teen.............. cheh(6) saat(7) tak
-
agar left side , right par di gai har cheez ke baraabar hai tou
-
iss taraf ki aik x