Return to Video

The Golden Hen - Wakhi

  • 0:00 - 0:02
    Sonay ki Murghi-Wakhi ki Tehreer
    Bachon k liye
  • 0:02 - 0:05
    Ek dafa ka zikr hai k ek baadshah tha
    (ya shayad nahi tha)
  • 0:05 - 0:12
    Baadshah ki ek bohot khubsurat beti thi,
    jis say har koi shaadi karna chahta tha.
  • 0:12 - 0:15
    Ek din baadshah ne kaha,
  • 0:15 - 0:17
    "Mein apni beti ki shadi us
    se karoon ga,
  • 0:17 - 0:22
    jo ek nadi k nichay chhupa hua
    khazana rakhta hai.
  • 0:22 - 0:26
    Main uski shadi kisi aam shakhs
    k sath nahi karwaoon ga."
  • 0:26 - 0:32
    Ek din ek nojawan shakhs baadshah
    k paas aaya aur kehnay laga,
  • 0:32 - 0:38
    "Ay Baadshah! Mere paas nadi k nichay
    chhupa hua khazana hai.
  • 0:38 - 0:41
    Mein aapki khubsurat beti say shadi
    karna chahta hun.
  • 0:41 - 0:44
    Mera khwaab sirf aapki beti say
    shaadi karna hai."
  • 0:46 - 0:50
    Baadshah ne us ka mazaq udaya or kaha,
    "Tum mujh sy jhoot keh rahay ho."
  • 0:50 - 0:54
    Phir baadshah aur nojwaan donon
    nojwaan k gaaon gaye,
  • 0:54 - 1:00
    aur dekha k haqeeqat mein us kay paas
    nadi k nichay chhupa khazana tha."
  • 1:00 - 1:07
    Baadshah nay jo wa'ada kiya tha wo
    apnay alfaaz wapis nahi lay saka.
  • 1:07 - 1:10
    Is liye wo maan gaya k nojwaan uski
    beti say shaadi kar sakta hai.
  • 1:10 - 1:15
    Unhon nay nojwaan ko doolha aur
    shehzadi ko dulhan bana diya
  • 1:15 - 1:17
    aur unki shaadi karwaa di.
  • 1:17 - 1:20
    Wo saat din tak jashan manatay rahay.
  • 1:20 - 1:28
    Tamam dost, rishtay dar aur hamsaye
    mil kar jashan mein aaye.
  • 1:28 - 1:32
    Ek martaba kafi din guzarnay k baad
  • 1:32 - 1:35
    larki ki daadi milnay k liye aai.
  • 1:35 - 1:39
    Uski daadi nay us say puchha,
    "Ay meri poti!
  • 1:39 - 1:41
    Kya tum nay kabhi apnay shohar say
    puccha hai
  • 1:41 - 1:44
    k wo saari dolat kahan say hasil
    karta hai?
  • 1:44 - 1:48
    Is gaaon mein, sirf baadshah aur
    tumhara shohar hi ameer hain.
  • 1:48 - 1:55
    Us nay itni dolat kahan say haasil ki?
    Kahan say ikathi ki?
  • 1:55 - 1:59
    Larki nay is k baaray mein socha aur
    kehnay lagi,
  • 1:59 - 2:03
    "O pyaari daadi jaan, Mein nahi jaanti.
    Us nay mujhay kabhi nahi bataya."
  • 2:05 - 2:08
    Budhi aurat nay usay hidayat ki,
  • 2:08 - 2:12
    "Aaj raat jab tumhara shohar aay, to
    naraaz ho jana or us say baat na karna.
  • 2:12 - 2:16
    Agar wo tumsay pucchay k kya hua, to
    usay sab kuch bata dena."
  • 2:18 - 2:21
    Larki maan gai.
  • 2:21 - 2:25
    Shaam k waqt uska shohar ghar aya
  • 2:25 - 2:29
    aur wo naraaz ho gai or us say baat
    nahi karna chahti thi.
  • 2:29 - 2:33
    Wo pareshaan ho gaya aur us say puchha,
    "O meri pyaari beevi,kya hua hai,
  • 2:33 - 2:37
    Tum mujh say baat kyun nahi kar rahi?
  • 2:37 - 2:39
    Larki nay us say kaha;
  • 2:39 - 2:43
    "Mein ab tak tumharay sath rehti rahi
    hun
  • 2:43 - 2:46
    lekin tum nay kabhi nahi bataya k tum
    kaisay ameer huey."
  • 2:46 - 2:50
    Isliye admi ne apni bivi ko jisay wo
    kafi pyar karta tha raaz btaya :
  • 2:50 - 2:54
    "Mere paas ghar ki chhat k nichay chhupi
    hui ek sonay ki murghi hai,
  • 2:56 - 3:00
    Yehi waja hai k mein aaj ameer hun."
  • 3:01 - 3:05
    Agli subha jab uski daadi aai,
    larki ne usay sab kuch bata diya.
  • 3:05 - 3:11
    Us shaam uski daadi nay murghi ko
    apnay kapray k nichay chhupa liya.
  • 3:12 - 3:15
    Aur apni poti say chori utha liya aur
    ghar say chali gai.
  • 3:15 - 3:19
    Us raat uska shohar ghar aya
  • 3:19 - 3:21
    or dekha k uski sonay ki murghi
    nahi thi
  • 3:21 - 3:27
    Us nay apni beevi say puchha k wo
    kahan gai, lekin usay nahi pata tha.
  • 3:27 - 3:32
    Unhon nay mil kar har jaga dekha lekin
    usay na dhoond sakay.
  • 3:32 - 3:37
    Larki nay socha aur kehnay lagi:
    "Shayad daadi jaan usay chura lay gain."
  • 3:37 - 3:42
    Uskay shohar k paas ek billi thi. Us
    nay usay hukam diya
  • 3:42 - 3:46
    k sonay ki murghi dhoondnay k liye un kay
    saath chalay.
  • 3:46 - 3:49
    Lekin jab daadi nay sonay ki murghi ko
    churaya tha,
  • 3:49 - 3:52
    to billi nay usay daikh liya tha.
  • 3:53 - 3:59
    Billi nay us k kadmon ka peechha kiya
    aur us k ghar pohanch gai.
  • 3:59 - 4:03
    Billi nay jaisay hi dekha k daadi so rahi
    hai, us nay sonay ki murghi ko chura liya
  • 4:03 - 4:07
    aur isay wapis is k maalik k paas lay ai.
  • 4:07 - 4:11
    Maalik bohot khush hua k wo dobara ameer
    ho jayen gay.
  • 4:11 - 4:18
    Iskay baad shohar, beevi, billi aur sonay
    ki murghi hamesha khush rahay.
  • 4:18 - 4:20
    Kahani khatam!
Title:
The Golden Hen - Wakhi
Description:

more » « less
Video Language:
Wakhi
Team:
Captions Requested
Duration:
04:22
  • Hello! Watch this video with Urdu subtitles and enjoy the interesting story!

HamariBoli (Roman Hindi-Urdu) subtitles

Revisions Compare revisions