Mujhe radio ka vichaar achcha lagta hai, kyunki main radio kaal mein hi bada hua tha. ye logon ko sankalpna ki azadi deta hai. Na unhein zyada jankari deta hai, na kam. Kabhi kabhaar, jokhim lekar lakeer banana achcha hota hai. Wahan se chhavi khud ban jaati hai. Ye sirf ek shuruaat hai - ek sahi shuruaat. Mujhe aasmaan mein udne ki aazaadi deta hai. Nicholas ek rochak insaan hai. Woh aapko keval nirdesh dekar kaam karne ko nahi bolte. Kaam karte waqt vo aapse baatcheet bhi karte hain Behtar hota hai ki aap kaam karte rahein Na ki kuch aur karein Jab vo aas-paas hote hain, tab vo apne sujhaav dete hain. Main apne sahaayakon se kehta hoon ki Kaam humesha maze se karein Zyada gambheer hone ki zarurat nahi hai, Kyunki usse kaam nahi hota hai. Aapa waqt hi barbaad hota hai. (sangeet) Yeh lakeerein main banata hoon. Inhein banana aasaan hai Par un lakeeron ko kuch naya andaaz dena, uske liye bachche ki tarah kaam karna hota hai Silvaton ko ek naya andaz deta hai Kuch seekhne ki milta hai. Kabhi-kabhi, main murtiyon ke liye sketch banata hoon Woh karna padta hai Par kai baar, main sirf ek vichaar Ek shabd ya mudde ke saath kaam shuru karta hoon Kyunki mujhe lagta hai ki sangya evam kriyaon ka bhautik vastuon se sambandh rakhte hain Yeh ek joote ki edi hai Is chitra ke liye iska naam hai Fak'unyawo Maane, apna pair ismein daalo Jaise ki paani ko dekhna ya uske upar jaana Ye Xhosa hai Yeh faka hai, matlab andar daalna, aur pair Toh yeh bana faka unyawao Par ek shabd mein, Fak'unyawo (sangeet) Thoda idhar-udhar jaana zaruri hai Kyunki yadi kisi bahari sheher mein aap gum gaye Aapko kuch nayi galiyan milengi jo aapko shayad kabhi na miltiN yadi aap sahi raste par hote. Chup chaap hava ka orchestra Shuruaat mein yeh sangeet yantra the Socha ki kisi ek canvas mein shaamil kar doon Aur yeh vichaar paida hua ki shayad yeh khud-ba-khud hi khade ho jayen? Yeh hawa upkaran hain. yeh lambe tambe aur peetal ke tube jo bhompu se jude hue hain veh bhi sangeet upkaran hai Aur humein bhi kisi tarah is nazariye ko badalna tha. Shayad yeh ek muhavra bhi hai. Yadi aap khud apna bhompu bajate hain, Aap behad lalsi hain. (sangeet) Apne aas paas ho rahi cheezon ko sunein. Ek aisa antenna ban jaate hain Jo har cheez ko grahan kar leti hai. Mahatvapoorn cheezon ko pakadkar baaqi jaane dete hain (videshi bhasha mein gana) (kutte ka bhaunkna) (keede-makaudon ki aavaaz)