Mujhe radio ka vichaar achcha lagta hai,
kyunki main radio kaal mein hi bada hua tha.
ye logon ko sankalpna ki
azadi deta hai. Na unhein zyada jankari
deta hai, na kam.
Kabhi kabhaar, jokhim lekar lakeer
banana achcha hota hai.
Wahan se chhavi khud ban jaati hai.
Ye sirf ek shuruaat hai -
ek sahi shuruaat. Mujhe aasmaan mein
udne ki aazaadi deta hai.
Nicholas ek rochak insaan hai.
Woh aapko keval nirdesh dekar kaam
karne ko nahi bolte.
Kaam karte waqt vo aapse
baatcheet bhi karte hain
Behtar hota hai ki aap kaam karte
rahein
Na ki kuch aur karein
Jab vo aas-paas hote hain,
tab vo apne sujhaav dete hain.
Main apne sahaayakon se
kehta hoon ki
Kaam humesha maze se karein
Zyada gambheer hone ki
zarurat nahi hai,
Kyunki usse kaam nahi hota hai.
Aapa waqt hi barbaad hota hai.
(sangeet)
Yeh lakeerein main banata hoon.
Inhein banana aasaan hai
Par un lakeeron ko kuch naya andaaz
dena, uske liye bachche
ki tarah kaam karna hota hai
Silvaton ko ek naya andaz deta hai
Kuch seekhne ki milta hai.
Kabhi-kabhi, main murtiyon ke liye sketch
banata hoon
Woh karna padta hai
Par kai baar, main sirf ek vichaar
Ek shabd ya mudde ke saath kaam
shuru karta hoon
Kyunki mujhe lagta hai ki
sangya evam kriyaon ka
bhautik vastuon se sambandh rakhte hain
Yeh ek joote ki edi hai
Is chitra ke liye iska naam hai
Fak'unyawo
Maane, apna pair ismein daalo
Jaise ki paani ko dekhna
ya uske upar jaana
Ye Xhosa hai
Yeh faka hai, matlab andar daalna, aur pair
Toh yeh bana faka unyawao
Par ek shabd mein, Fak'unyawo
(sangeet)
Thoda idhar-udhar
jaana zaruri hai
Kyunki yadi kisi bahari sheher
mein aap gum gaye
Aapko kuch nayi galiyan milengi
jo aapko shayad kabhi na miltiN
yadi aap sahi raste par hote.
Chup chaap hava ka orchestra
Shuruaat mein yeh sangeet yantra the
Socha ki kisi ek canvas mein shaamil
kar doon
Aur yeh vichaar paida hua ki shayad
yeh khud-ba-khud hi khade ho jayen?
Yeh hawa upkaran hain.
yeh lambe tambe aur peetal ke tube
jo bhompu se jude hue hain
veh bhi sangeet upkaran hai
Aur humein bhi kisi tarah
is nazariye ko badalna tha.
Shayad yeh ek muhavra bhi hai.
Yadi aap khud apna bhompu bajate hain,
Aap behad lalsi hain.
(sangeet)
Apne aas paas ho rahi cheezon ko sunein.
Ek aisa antenna ban jaate hain
Jo har cheez ko grahan kar leti hai.
Mahatvapoorn cheezon ko pakadkar baaqi
jaane dete hain
(videshi bhasha mein gana)
(kutte ka bhaunkna)
(keede-makaudon ki aavaaz)