auzubillah minashaitan nirajeem
bismillah hir rahman nir raheem
Qul huwal lahu ahad
Allah hus-samad
Lam yalid walam yulad
Walam yakul-lahoo kufuwan ahad
Allahumma Salli ‘ala Muhammad
wa ‘ala aali Muhammad
kama sallaita ‘ala Ibrahim
wa ‘ala aali Ibrahim
innaka Hamidum-Majeed
Mu'azzaz hazraat
bohot mohtaram khawateen
aur tamaam hazireen-e-majlis
aap door daraaz se tashreef laye
Aap ka mansha, maqsad yahan anay ka
safar ki suubatain aap ne bardasht keen,
sardi ka khayal nahi kiya.
Duniyavi masrufiyat se aap ne waqt nikala
Kyun?
Isliye ke aap ko Allah Ta'ala ki taraf se
ek ittila mili
ke hamare bandon mein se,
hamare ghulamon mein se,
hamari jaan mein se ek jaan aisi hai
jis par Murshid Kareem
Abdaal-e-Haq, Mumassil-e-Kainat
Muhammad Azeem Barkhiya
Huzoor Qalandar Baba Auliya
Rahmatullah Alaih ke
ke faiz se
ek banda aisa hai
jo is duniya mein mojood hai.
Aap aadmi ke paas nahi aaye,
aadmi to bohot hain
har qisam ke hain
Bare bare aalim fazil bhi hain
Bare bare science daan bhi hain
Is tarah, is tarah, is tarah
is ko agahi bharpoor zehan wale banday
mujhe yahan nazar nahi aa rahe
jo aur doosray hon
Allah Ta'ala aap ko deen ki tamaam
raahatain naseeb farmaaye
Allah Ta'ala aap ko
bimariyon se shifa ata farmaaye
Allah Ta'ala aap ke
rizq mein barakat ata farmaaye
Aur in sab wasail dastiyabi ke baad
aap ko ek baat, ek baat, ek baat,
(aap ko) shaoor ata farmaaye
Phir dohrayein
Duniya ki tamaam [...],
Aur duniya ki tamaam maal-o-zar,
duniya ki jitni bhi makhluqat hain
Humein is baat ka ilm to hai
lekin humein yaqeen, yaqeen
wal-rāsikhūna fī l-ʿil'mi yaqūlūna
āmannā bihi kullun min ʿindi rabbinā
is yaqeen mein, yaqeen mein,
duniyavi chhaap ka
aks zyada ho gaya hai.
6:25