auzubillah minashaitan nirajeem bismillah hir rahman nir raheem Qul huwal lahu ahad Allah hus-samad Lam yalid walam yulad Walam yakul-lahoo kufuwan ahad Allahumma Salli ‘ala Muhammad wa ‘ala aali Muhammad kama sallaita ‘ala Ibrahim wa ‘ala aali Ibrahim innaka Hamidum-Majeed Mu'azzaz hazraat bohot mohtaram khawateen aur tamaam hazireen-e-majlis aap door daraaz se tashreef laye Aap ka mansha, maqsad yahan anay ka safar ki suubatain aap ne bardasht keen, sardi ka khayal nahi kiya. Duniyavi masrufiyat se aap ne waqt nikala Kyun? Isliye ke aap ko Allah Ta'ala ki taraf se ek ittila mili ke hamare bandon mein se, hamare ghulamon mein se, hamari jaan mein se ek jaan aisi hai jis par Murshid Kareem Abdaal-e-Haq, Mumassil-e-Kainat Muhammad Azeem Barkhiya Huzoor Qalandar Baba Auliya Rahmatullah Alaih ke ke faiz se ek banda aisa hai jo is duniya mein mojood hai. Aap aadmi ke paas nahi aaye, aadmi to bohot hain har qisam ke hain Bare bare aalim fazil bhi hain Bare bare science daan bhi hain Is tarah, is tarah, is tarah is ko agahi bharpoor zehan wale banday mujhe yahan nazar nahi aa rahe jo aur doosray hon Allah Ta'ala aap ko deen ki tamaam raahatain naseeb farmaaye Allah Ta'ala aap ko bimariyon se shifa ata farmaaye Allah Ta'ala aap ke rizq mein barakat ata farmaaye Aur in sab wasail dastiyabi ke baad aap ko ek baat, ek baat, ek baat, (aap ko) shaoor ata farmaaye Phir dohrayein Duniya ki tamaam [...], Aur duniya ki tamaam maal-o-zar, duniya ki jitni bhi makhluqat hain Humein is baat ka ilm to hai lekin humein yaqeen, yaqeen wal-rāsikhūna fī l-ʿil'mi yaqūlūna āmannā bihi kullun min ʿindi rabbinā