Mjhe ye bohot achi tasweer lagi, Asl mein ye tasweer batati he kay hamare jism mein dil kis jaga pe mojood hay ap ye dekh saktay hain kay dil dono taraf se paslion mein waqeya hey or asl mein, mene abhi isme nahi banaya lekin mein bata houn kay phaiphray (lungs) kahan hongay, Ye dayan lung he Or is taraf bayan lung hey. Pus yahan pe apka dil mojood hey: do lungs k darmiyan. Or me bata raha houn dayan or bayan us insaan k hawalay se jis ke under ye dil mojood he Pus ye uska dayan or bayaan hey, jo hamare mukhalif hey agar hm iski taraf dekhain. Heart asl mein do lungs ke darmiyan hey is mehfooz pinjray mein takay paslian in ahem azu (organs) ko hifazat se rakhay. or is ke niche, agar ap iski tasweer banayen. or agar mein banaoon, tou ap dekh saktay hain kay niche in tamam cheezon ke aik bohot he zaruri patha (muscle) hey. log is pathay (muscle) ko nahi jantay, ye aik muscle ki kisam nahi hey jo amooman ap logon ko gym me kartay dekhtay hain. lekin ye patha diaphragm kehlata hey pus apka diaphragm ka patha or apki paslian aik jagah banati hain, jisme diaphragm farash hey or paslian aik chat ki manind jese aik kamray ki deewar or agar ap is kamray ke hison ko dekhain, apke pas lungs hongay or apka dil, pus ye sari khala thorax kehlati hey pus dil dar haqeqat kia karta hey agar hum is sari khala ke dil ko karib se dekhain. ab mein apk ko dil ke charon taraf ki jaga ka batata houn. ye hamara dayan lung he or dusri taraf bayan. or ye tamam paslion ke beech me hey, lekin ye mein bna ke bataoonga kionkay dil ko is tarah dekhna mushkil he pus is baray me sochna dil kia karta he. mere khayal se sab se asaan tareeqa ye he kay ap sochain ke ap aik khuliya hain(cell) or sochain ap aik cell hain jo bahir nikla hoa hey yahan se, ye ap hain, or ap jisam ke kisi bhi hisay ko soch saktay hain yani aik angoothay ka khulilya, agar kaha jaye ak aik angoothay ka khuliya hain or apka kam , khush rehna hey or is cell (khuliye) ke pas ai khoon ki nali he, or asl mein her jisam ka cell khoon ki nalian rakhta he, or ye angoothay ka khuliya bhi isi tarha he, is toe cell ko khas cheezain darkar hain is ko O2 oxygen ki zarurat he mein isko safaid se likhon ga isay oxygen ki zarurat he isko nutrients (maqwi) ki zarurat he sahi pus cell ko zinda rehnay ke liya khas cheezon ki zarurat hoti he or iski dusri taraf, ye aik kharij mawaad banatay hain. ye hamari tarha banatay hain kharij mawaad inka kharij mawad kia hota he ye khaya zehan me ata he CO2 carbon di oxide, tou co2 kharji mawad hey is cell ke liye, thori der ke liye faraz karen ke ye khariji mawad nahi banata pus , agarcha sath mein aik khoon ki nalian bhi hain sach me koi khoon nahi gardish me hey, yahan hm likhain gay jesa ke aik chota cell mawad kharij karta he wo mawad hm yahan banatay hain yahan jama hona shuru ho jata hey jessa ke khoon harkat nahi ker raha tpu hamara ye toe cell khariji mawad se ghir jaye ga or apne he kharij shuda mawad se ghir jaye ga or duri tarf , kia ye oxygen or ajzaye maqwi le sakta he wo dusri janib ye cheezain nahi le sakta so me ye kahonga ye zinda rahne ka tareeqa nahi hey ye afsos ki bat he kay agar ye younhi rah tou cell mar jayega cell ko wo sab zarurat he jiski sabko zarorrat hoti he jild ka khuliya, koi bhi zinda cell ko is khoon ke doraniye ki zarurat hoti he sahi? isko sahi tareeqay se rawan honay ki zarurat hoti he agar is cell ko ye khoon ka doraniya milay tou apko bilkul mukhtalif tasweer dekhne ko milegi kay khariji mawaad ab khoon ke zariye lejaya ja chuka hoga ye isi tarha hey ke jese koi aye or utha ker ye khariji mawad le jaye or apke ghar ke ander koi koora mojood na rahy or is ke bajaye oxygen or ijza khanay ke atay jayen or mohayya hotay jayen, or is tarha cell aram se or achi tarha se zinsa rahega agar apk apne jism ke tamam cell ko is tarha zinda rakhna chahengay rou apko behtareen doraniye ki zaroorat he so ye ghor karne ki bat he, kay ap waqai chahtay hain, ke khoon ka doraniya achi tarha se bahay tamam jism mein lahkhon or karoron cells ko ye dene ke liye aik mazboot bahao (pump) ki zarurat he, jo kay khoon ko nahanay me madad day saray jism mein rawani ke sath or agay pichay hone mein or dil kia he , or iske under kia heye kia karta he kia ye aik bohot acha pump he jo khoon ko rawan rakhta he agar apka acha khoon ka doraniya he, ye mein aik taraf ker k likhounga, ye dil ke kam hain in kamo mein, number aik kam ye he khoon ka doraniya, is ko mein nizam khoon bahao likhta houn is nizam ka matlabhey kay tamam jism me khoon ki gardish ye is tarha hota he, is tasweer me ap dekhtay hain, kay ye aik bari vareed hey (vein) or aik sharyan (artery) ye aik artery he khoon is artery me jata he or do vein me wapus ata hey or is key oper superior, superior ka matlab is kay oper hay. superior vana cava ye iska naam hey. or iskay nichay ap nahi dekh saktay abhi ye dil ki dusre janib he lekin dusri vein ka name inferior (choti) vena cava he ye bhi aik vein (vareed) hey ye dono vareed jism se sar akhoon lati hain heart (dil) k under jab dil khoon ko jism mein phelata he isko aorta kehtay hain pus agar apne aorta ka naam suna hey, ye aik artery he jiske baray mein log parhatay hain, is tarha khoon jism me gardish karta he sirf ye kam dil nahi karta iska dusra kam tasweer mein dekhaya he wo pulmonary bahao hey pus ye kia karta he is ka matlab kia he hmain maloom he cell ko O2 ki zarurat he or cell ke pas bohot se CO2 hey ye acha he ke khoon harkat mein rahay agar cell achi taha se khoon se na nikle or oxygen achi tarha se jazab na kare tou cell sahi kam nahi karta mera matlab, k cell ke pas khoon ka bahao he lekin isko O2 ki zarurat he or cell Co2 chorna chahta he ab lungs ka kam ata hey, jab dil khoon sorta me bhejta he jab khoon ko wapus jism me bhejta he asl me dil khoon lungs ko bhejta he sab se pehle bayen lung me khoon jata he or dayen se wapus ata he or phir isko wapus dil meon bhejt ahe, or phir aorta me nichra jata he pus ye aik zayed marhala tha blood ka, khoon ka wapus dil me ana pulmonary flow kehlata he so akhi cheez ap dekhain, is tasweer mein ap dekhain gay apko choti khoon ki nalian nazar ayengi tamam dil mein pheli hoi. ye kia hain asl mein, mera matlabkuch neeli or kuch laal neeli wali veien hain or lal wali artery kia ye khoon ke nizam ka hissa hain? han ye naliyan tamam conary naliyan kehlati hain apne inka suna hoga coronaryray artey ya veins tou ye coronary khoon ki nalian hain ye dil kay pathon ki madad karti hain mjhe yad he dil lakhon khulioon cells se mil ker bna hey jesa ke angothay ke cells inko bhi oxygen or ijzaye maqwi ki zarurat hoti hay pus, in cell s kio khoon ke naliyon ki zarorat hoti he pus ye coronary khoon ki naliyan hain wo naliyan jo dil tak jati hain jo dil ke kam ati hain ab, agar ye dil ke pathoun ke kam ati hain or dil ke khulion ke, kia ye nizam doran khoon ke under ati hain ya pulmonary nizam ke iska asl kam cell ki madad karna he coronary nalian nizam dran khoon me ati hain.