Mjhe ye bohot achi tasweer lagi, Asl mein
ye tasweer batati he kay hamare jism mein dil kis jaga pe mojood hay
ap ye dekh saktay hain kay dil dono taraf se paslion mein waqeya hey
or asl mein, mene abhi isme nahi banaya lekin mein bata houn kay
phaiphray (lungs) kahan hongay, Ye dayan lung he
Or is taraf bayan lung hey. Pus yahan pe
apka dil mojood hey: do lungs k darmiyan. Or me bata raha houn
dayan or bayan us insaan k hawalay se jis ke under ye dil mojood he
Pus ye uska dayan or bayaan hey, jo hamare mukhalif
hey agar hm iski taraf dekhain. Heart asl mein do lungs ke
darmiyan hey is mehfooz pinjray mein takay
paslian in ahem azu (organs) ko
hifazat se rakhay. or is ke niche, agar ap iski
tasweer banayen. or agar mein banaoon, tou ap dekh saktay hain
kay niche in tamam cheezon ke
aik bohot he zaruri patha (muscle)
hey. log is pathay (muscle) ko nahi jantay, ye aik muscle ki kisam nahi hey
jo amooman ap logon ko gym me kartay dekhtay hain. lekin ye patha diaphragm kehlata hey
pus apka diaphragm ka patha
or apki paslian aik jagah banati hain, jisme diaphragm farash hey
or paslian aik chat ki manind jese aik kamray ki deewar
or agar ap is kamray ke hison ko dekhain, apke pas lungs hongay or
apka dil, pus ye sari khala
thorax kehlati hey
pus dil dar haqeqat kia karta hey
agar hum is sari khala ke
dil ko karib se dekhain.
ab mein apk ko dil ke charon taraf ki jaga ka batata houn. ye hamara dayan lung he
or dusri taraf bayan. or ye tamam
paslion ke beech me hey, lekin ye mein bna ke bataoonga kionkay
dil ko is tarah dekhna mushkil he
pus is baray me sochna dil kia karta he. mere khayal se sab se asaan tareeqa
ye he kay ap sochain ke ap aik khuliya hain(cell)
or sochain ap aik cell hain jo bahir nikla hoa hey
yahan se, ye ap hain, or ap
jisam ke kisi bhi hisay ko soch saktay hain
yani aik angoothay ka khulilya, agar kaha jaye ak aik angoothay ka khuliya hain
or apka kam , khush rehna hey
or is cell (khuliye) ke pas ai khoon ki nali he, or asl mein her jisam ka cell
khoon ki nalian rakhta he, or ye angoothay ka khuliya
bhi isi tarha he, is toe cell ko khas cheezain darkar hain
is ko O2 oxygen ki zarurat he
mein isko safaid se likhon ga isay oxygen ki zarurat he
isko nutrients (maqwi) ki zarurat he sahi
pus cell ko zinda rehnay ke liya khas cheezon ki zarurat hoti he
or iski dusri taraf, ye aik kharij mawaad banatay hain. ye hamari tarha banatay hain kharij mawaad
inka kharij mawad kia hota he
ye khaya zehan me ata he
CO2 carbon di oxide, tou co2 kharji mawad hey
is cell ke liye,
thori der ke liye faraz karen ke ye khariji mawad nahi banata
pus , agarcha sath mein aik khoon ki nalian bhi hain
sach me koi khoon nahi gardish me hey, yahan hm likhain gay
jesa ke aik chota cell mawad kharij karta he
wo mawad hm yahan banatay hain
yahan jama hona shuru ho jata hey
jessa ke khoon harkat nahi ker raha
tpu hamara ye toe cell khariji mawad se ghir jaye ga
or apne he kharij shuda mawad se ghir jaye ga
or duri tarf , kia ye oxygen or ajzaye maqwi le sakta he
wo dusri janib ye cheezain nahi le sakta
so me ye kahonga
ye zinda rahne ka tareeqa nahi hey
ye afsos ki bat he
kay agar ye younhi rah tou cell mar jayega
cell ko wo sab zarurat he jiski sabko zarorrat hoti he
jild ka khuliya, koi bhi zinda cell ko is khoon ke doraniye ki zarurat hoti he
sahi? isko sahi tareeqay se rawan honay ki zarurat hoti he
agar is cell ko ye khoon ka doraniya milay
tou apko bilkul mukhtalif tasweer dekhne ko milegi
kay khariji mawaad ab khoon ke zariye lejaya ja chuka hoga
ye isi tarha hey ke jese
koi aye or utha ker ye khariji mawad le jaye
or apke ghar ke ander koi koora mojood na rahy
or is ke bajaye oxygen or ijza khanay ke atay jayen
or mohayya hotay jayen, or is tarha cell
aram se or achi tarha se zinsa rahega
agar apk apne jism ke tamam cell ko is tarha
zinda rakhna chahengay rou apko behtareen doraniye ki zaroorat he
so ye ghor karne ki bat he, kay ap waqai
chahtay hain, ke khoon ka doraniya achi tarha se bahay
tamam jism mein
lahkhon or karoron cells ko ye dene ke liye aik mazboot
bahao (pump) ki zarurat he, jo kay khoon ko nahanay me madad day
saray jism mein rawani ke sath or agay pichay hone mein
or dil kia he , or iske under kia heye kia karta he
kia ye aik bohot acha pump he jo khoon ko rawan rakhta he
agar apka acha khoon ka doraniya he,
ye mein aik taraf ker k likhounga, ye dil ke kam hain
in kamo mein, number aik kam ye he
khoon ka doraniya,
is ko mein nizam khoon bahao likhta houn
is nizam ka matlabhey kay
tamam jism me khoon ki gardish
ye is tarha hota he,
is tasweer me ap dekhtay hain, kay ye aik bari vareed hey (vein)
or aik sharyan (artery)
ye aik artery he
khoon is artery me jata he
or do vein me wapus ata hey
or is key oper superior, superior ka matlab
is kay oper hay. superior vana cava
ye iska naam hey. or iskay nichay ap nahi dekh saktay abhi
ye dil ki dusre janib he lekin dusri vein ka name inferior (choti) vena cava he
ye bhi aik vein (vareed) hey
ye dono vareed jism se sar akhoon lati hain
heart (dil) k under
jab dil khoon ko jism mein phelata he
isko aorta kehtay hain
pus agar apne aorta ka naam suna hey, ye aik artery he
jiske baray mein log parhatay hain, is tarha khoon jism me gardish karta he
sirf ye kam dil nahi karta
iska dusra kam
tasweer mein dekhaya he wo pulmonary bahao hey
pus ye kia karta he
is ka matlab kia he
hmain maloom he cell ko O2 ki zarurat he or cell ke pas bohot se CO2 hey
ye acha he ke khoon harkat mein rahay
agar cell achi taha se khoon se na nikle
or oxygen achi tarha se jazab na kare tou cell sahi kam nahi karta
mera matlab, k cell ke pas khoon ka bahao he lekin isko O2 ki zarurat he
or cell Co2 chorna chahta he
ab lungs ka kam ata hey, jab dil khoon sorta me bhejta he
jab khoon ko wapus jism me bhejta he
asl me dil khoon lungs ko bhejta he
sab se pehle bayen lung me khoon jata he
or dayen se wapus ata he
or phir isko wapus dil meon
bhejt ahe, or phir aorta me nichra jata he
pus ye aik zayed marhala tha blood ka,
khoon ka wapus dil me ana pulmonary flow kehlata he
so akhi cheez ap dekhain, is tasweer mein ap dekhain gay
apko choti khoon ki nalian nazar ayengi
tamam dil mein pheli hoi. ye kia hain
asl mein, mera matlabkuch neeli or kuch laal
neeli wali veien hain or lal wali artery
kia ye khoon ke nizam ka hissa hain?
han ye naliyan tamam
conary naliyan kehlati hain
apne inka suna hoga
coronaryray artey ya veins
tou ye coronary khoon ki nalian hain
ye dil kay pathon ki madad karti hain
mjhe yad he
dil lakhon khulioon cells se mil ker bna hey
jesa ke angothay ke cells
inko bhi oxygen or ijzaye maqwi ki zarurat hoti hay
pus, in cell s kio khoon ke naliyon ki zarorat hoti he
pus ye coronary khoon ki naliyan hain
wo naliyan jo dil tak jati hain
jo dil ke kam ati hain
ab, agar ye dil ke pathoun ke kam ati hain
or dil ke khulion ke, kia ye nizam doran khoon ke under ati hain
ya pulmonary nizam ke
iska asl kam cell ki madad karna he
coronary nalian nizam dran khoon me ati hain.